Thursday, July 20, 2006

...and some more...

Gar ye faasley na hotey
tum hamare aagosh me hotey
gam ka nishaan na hota
in aankhon mei ye sailaab na hotey...

Naazuk hai yeh lamha
na unhe yaad kar sakte hain
na unhe bhula paatey hain
gar haat chirate han to bewafa hain,
haath thaame rehte hain to bala hain!

Un gali koochon se
ab guzarna nahi mumkin
jin par hum tumhare saath chaley the
jab tum bin yeh zindagi hi kuch nahi
to voh mazar-e-ishq kya hai?

Bahut der tak
dekhi hamne raahein
jab aankhon ne band hona chaha
to is dil ne kaha
kuch aur der ruk jao
fir pata nahi sailab aata hai
ya aati hai khushi...
is hi firaaq mei baithe hain hum
dekhiye, kyaa aata hai!

0 Comments:

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home

Free Color Picker With VMN Toolbox