Thursday, August 03, 2006

Some Sai Bhajans I Wrote...

...Way back in 2000...

1. Baba mujh par karo tum itni inayat
Apne charnon ki sharan de do
Bhatak rahi hoon mei dar dar
Kha rahi hoon har pag thokar
Sai itni daya to kar do
Apne charnon mei sharan to de do
Aap hi Sai ho deen dayal
Bhakton ke Sai ho rakhvaal
Jo koi aapki sharan mei aaya
Jeevan ka har sukh hai paya
Sai meri bhi har peer mita do
Apne charnon mei sharan to de do

2. Sai mujhe bhi apni daasi bana lo
Shirdi ki nivasi bana lo
Nahi to mere bhatakte man me
Sai aap apna ghar bana lo
Kab tak thokar khaungi mei
Kab tak tumhe aavaaz lagaungi mei
Kyun nahi aakar mera sir sehlaate
Kyun nahu mujhko apna banate?

3.Jo murdon me daale jaan
Vo hain mere Sai mahaan
Ab mujhko bhi de do baba
Sada mere sir par apna
Aur mata pita ke haath ka vardaan
Aap mujhe nazar to na aaye Sai
Par mata pita ne mujhpar apni
Sehat, dhan aur neend lutai
Unpar apni daya drishti daalo
Achi sehat, lambi umr
Kasht rahit jeevan ka vardaan de daalo
Sai hogi aapki bari kripa
Mei rini rahoongi jeevan bhar
Mere mata pita ka rakho dhyaan
Itni daya karo mujhpar.

4. Mera saaya bhi le aapka naam
Karna hai mujhko yeh kaam
Rom rom mei tumhe basaun
Nahi to jeevan se bisraun
Sai ji aap ho daata mere
Yaad karoon tumhe mei shaam savere
Jholi meri bhi tum bhar do
Sai ji itni kripa tum kar do
Gun bas tumhare hi mei gaun
Subha shyaam bas tumhe dhyayun
Aur jo mujhse koi pooche rab kaun aur kya
Mei boloon Sai bina mere aur na dooja.

5. Mere maalik tum bin mujhe koi aur na dooja
Aashirwaad do karoon raat din aapki pooja
Dhyaan na idhar udhar bat sake mera
Simran rahey bas naam aur dhaam sirf tera
Naam tumhara jagti me failaaon
Bhakt janon ko tumse milaun
Jag ke sab bande - bhale ya mande
Ke man mei shradha deep jalaaun
Sai mei aap naam mei yeh jeevan lagaun!

6. Karam tu kar le bande
Fal to mera Sai dega
Karte karte vo kabhi tera imtihaan bhi lega, par
Karam tu kar le bande
Fal to mera Sai dega


Na yeh soch kisi ne
Tujhe kya diya, ya fir
Tujhse tera kya le liya
Bas yeh yaad rakh
Ki Sai ne jo yeh jeevan diya
Kisi karan ke liye hi diya

Isliye...
Karam tu kar le bande
Fal to mera Sai dega

0 Comments:

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home

Free Color Picker With VMN Toolbox